Posts

Showing posts from October, 2009

phool!

Image

MAIN AUR DILLI

Woh subah-subah ki geeli os mein, muskurate hue kaapna. uss kad-kadati thand mein, garma-garm khana kha razai ki khushiyon tale dab jaana. TV par nyunatam taapmaan dekh, thand ka achanak badh jana. Un mushkil se dikhne wali dhoop ki kirano ko, aankhen moond gale lagana. Inn yaadon ko ek potli mein baandh, sang rakhunga apne, wo pal waakai mein the, ya the bas Dilli ke dikhay kuch sunahre sapne? Farvary ke aate hi, sheher ke har phool ka achanak khil jana. Har chowk-chowrahe par inn rango ko dekh, maano mil jaye pyar karne ka bahana. Garm kapdon ka dheere-dheere bakse mein chale jaana. Fiza ka, nayee kitabon ki khushboo se bhar jana. Inn yadon ko sarhane ke neeche chhipakar rakhunga apne, wo pal waakai mein the, ya the bass Dilli ke dikhay kuch Sunahre sapne?