AASMA KA JAWAB
Daud ke bhaagi hain sab,
Wo behri, painee awazein,
Wo ghayal kar deni wali gati,
Kisi Anjani ore badhta ye kaafila…
Har raah par ek chaah,
Aur har chaah par ek prati-spardha.
Har pratispardha, mein ek vijeta aur anek parajit.
Sar utha kar mann aasma se poochta hai,
‘Kaisi chah? Kaisi spardha?’
Aasma kehta,
Pehle na thi aisi chah, na aisi pratispardha,
Par phir bhi the anek vijeta.
Kisi anjani ore badhta ye kafila…
Na soch, na samajh,
Na Sabr, na na such,
Na sehensheelta, na muskurahat,
Bas haar, ya jeey.
Par kaisi jeet? Kiski jeet?
Kaisi haar? Kiski haar?
Aankhen oonchi kar,
aasma mein THEHRAAV aur shanty ko dekh,
Ji khush hota hai.
Aasma muskurakar kaehta,
Ek waqt tha,
Jab dharti par bhi,
Ye sab hota tha.
Ek waqt tha…
Kisi anjani ore badhta ye kaafila…
Wo behri, painee awazein,
Wo ghayal kar deni wali gati,
Kisi Anjani ore badhta ye kaafila…
Har raah par ek chaah,
Aur har chaah par ek prati-spardha.
Har pratispardha, mein ek vijeta aur anek parajit.
Sar utha kar mann aasma se poochta hai,
‘Kaisi chah? Kaisi spardha?’
Aasma kehta,
Pehle na thi aisi chah, na aisi pratispardha,
Par phir bhi the anek vijeta.
Kisi anjani ore badhta ye kafila…
Na soch, na samajh,
Na Sabr, na na such,
Na sehensheelta, na muskurahat,
Bas haar, ya jeey.
Par kaisi jeet? Kiski jeet?
Kaisi haar? Kiski haar?
Aankhen oonchi kar,
aasma mein THEHRAAV aur shanty ko dekh,
Ji khush hota hai.
Aasma muskurakar kaehta,
Ek waqt tha,
Jab dharti par bhi,
Ye sab hota tha.
Ek waqt tha…
Kisi anjani ore badhta ye kaafila…
Comments
U're jus so awesome at this one.!
I like.. :)